sataye na, kabhi hasaye kabhi rulaye na...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tumhari yaad
wo dekho...!
phir mujhe aayi stane..
mere dil ko kabhi dukhane aur kabhi hasane..
tumhen lekin khabar kab hai
ki tum......
mujhe kaise state ho ??
mere dil ko tum hi tum yaad aate ho
magar tum kaise janoge
tumhe kaisey bataoon mein...
...
tumhari yaad
mujhe har pal stati hai
mere dil ko kabhi dukhati hai kabhi hasati hai
sabhi chain-o-aaram mere
is dil se kab ke ho gaye rukhsat
jin ko tumhari yaad ne cheena
mujhe bebas sa ker k rakh diya hai
ab...
..
mera dil bas tumhare hi pyar aur yaad ka dariya hai
yahaan sailaab aate hain
tabahi si machaate hain
meri neend,mera chain sab kuch
k sab kuch khatam hi to ho gaya hai
magar tum kya karoge...???

kar bhi sakte ho tum.
yun karo
laut aao....
aur mujhe apna banakar le jao.
ya yun ker lo....
ye zindagi le jao...
mujhe maut ka peghaam de jao...
..
taki tumhari yaad
sataye na, kabhi hasaye kabhi rulaye na...!!!
 
Top