Chand Dekhu

Arun Bhardwaj

-->> Rule-Breaker <<--
Jab Kabhi Chand Dekhu, Tum Yaad Aatey Ho
Jab Kabhi Subha Ki Pehli Kiran Dekhu, To Tumhari Muskurahat Yaad Aati He
Jab Kabhi Souraj Ko Dhalta Dekhu, To Tumhare Gam Yaad Aate He
Jab Kabhi Parindo Ki Chehak Sunoo, To Tumhari Madham Madhosh Awaz Sunai De
Jab Kabhi Gulab Ko Khilta Dekhu, To Tumhare Labb Yaad Aaye
Jab Kabhi Barste Badal Dekhu, To Tumhari Yaad Me Doobi Woh Shaam Yaad Aaye
Jab Kabhi Ghazal Me Tumhara zikar Karu,
To Tumhari Khushboo Me Base Khat Yaad Aaye
Jab Kabhi Barish Me Moti si Chamkti Boond Ko Dekhu
To Tumhari Pyarisi Ankhe Yaad Aaye
Jab Kabhi Koi Prem Katha Padhu, To Tumhara Bepanah Pyar Yaad Aaye
Jab Kabhi Andheri Raat Me Chamkte Sitaron Ko Dekhu
To Tumhari Nazroon Ki Shararat Yaad Aaye
Jab Kabhi Samnder Ko Kinare Se Takrata Dekhu, To Tumhari Woh Mulaqaat Yaad Aaye
Jab Kabhi Chand Ko,Phool Ko, Barastey Badlon Ko Dekhu To Tumhari Yaad Aaye
Jab Jab Me Saans Lu, To Tum hi Yaad Aaye!!! ♥ ♥ ♥

unknown
 
Top