main us ke taaj ki qeemat laga ke laut aaya

~¤Akash¤~

Prime VIP
wafa ki qabr pe aansoo baha ke laut aaya
main apne piyar ki duniya luta ke laut aaya

woh ab tak rail mein baethi sisak rahi hogi
main apna haath hawa mein hila ke laut aaya

khabar mili hai ke sona nikal raha hai wahan
main jis zameen ko thokar laga ke laut aaya

woh chahta tha ke taasa khareed le mera
main us ke taaj ki qeemat laga ke laut aaya
 
Top