~¤Akash¤~
Prime VIP
Yeh Zakhum Yeh Marhum
Tumharey naam-o-nishaan sey bey sarokaar
Tumhari yaad key mosum guzartey jatey hain
bas aik manzer-e-bey hijr-o-wasal hai jis mai
hum apney aap hi kay kuch rung bhartey jatey hain
na woh nishat-e-tasavur kay lo tum aahi gaye
na zakhum-e-dil ki hai sozish koi jo sehni ho
na koi wada-o-peyma ki sham hai na saher
na koi shoq ki hai koi dastaan jo kehni ho
na koi zakhum na marhum kay zindagi apni
guzar rahi hai her ahsaas kay gawaney main
mager yeh zakhum yeh marhum bhi kum nahi shayad
key hum hain aik zameen per or eik zamaney main