Justpunjabi
Lets_rock
Aurat ka samman karo, mat iska apmaan karo
Maa banke pyar ye deti waise tum bhi pyae karo
Kabhi to ye beti banti, kabhi bahen ban jati hai
Maa banke duniya me ye, kitne farz nibhati hai
Ghar ko aurat swarg banati, khusiyon se sajati hai
Ghar ki aan maan ki khatir, har dukh ye sah jati hai
Jaan to apni de deti hai izzat nahi ganwati hai
Kabhi sati banke auurat lapto me jal jati hai
Har dukh hanskar sahti, himmat nahi harti hai
Jisko dil se pyar ye karti, uss par jaan waarti hai
Aurat hai wo phool kamal ka jo duniya ko mahkati hai
Pyar ke ye deep jala kar jag roshan kar jati hai
Ab socho aurat sachhi, ya sachhi yeh duniya hai
"aadi" kahta aurat sab kuch aurat se hi duniya hai.