*~~Aap ki dushmani kabool mujhey~~*

Pardeep

๑۩۩๑┼●ℛŐŶ
[size=+2]
Aap ki dushmani kabool mujhey
Aap ki dosti se darta hoon
Aap jesey bhi hain sanam merey
main tou bas aap hee pe marta hoon

chaha kis ko ye kis ko pyaar kia
main nain bhi kis pe aitbaar kia
wada jin ka tha jaan deney ka
ab irada hai jaan leney ka

kitna majboor hoon main es dil se
Bewafa se wafa main karta hoon
Aap jesey bhi hain sanam merey
main tou bas aap hee pe marta hoon

kya kahoon be rehm ke bedardi
esi umeed aap se na thee
aap nain kar dia mujhey ruswa
meri hasrat ko janta hai khuda

muj ko nakaam mohabbat ki kasam
har ghari sirf aha bharta hon
Aap jesey bhi hain sanam merey
main tou bas aap hee pe marta hoon

[/size]
 
Top