zindgi meri zinda laash ki kabristan ho gai...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Aankh khuli to subah hi hamari shaam ho gai,
zindgi meri zinda laash ki kabristan ho gai.
karte rahe zama ek ek boond zindgi bhar ham
bhari jab gaagar to wo toofan ho gai.
..
pyasa reh gaya main paani ke beech reh kar,
waqt aaya to pyas paani ki mehmaan ho gai.
aag lagi nahi lagaai gai hai ghar main mere
kisi apne ki gair se pehchaan ho gai.
...
Aankh khuli to subah hi hamari shaam ho gai,
zindgi meri zinda laash ki kabristan ho gai...!!!
 
Top