~¤Akash¤~
Prime VIP
Choto pe chot dete hi jaane ka shukriya
patthar ko but ki shakal mein lane ka shukriya
Jaga raha to maine naye kaam lar liye
Aye neend tere na aane ka shukriya
Aati na tum to kyon banata mein ye seedhiya
Deewaro meri raah mein aane ka shukriya
aansu sa maan ki god mein aakar simat gaya
Nazron se apni mujhko girane ka shukriya
ab ye hua ke duniya hi lagti hai mujhko ghar
Youn mere ghar mein aag lagane ka shukriya
Gham milte hain to aur nikharti hai aashiqui
ye baat hai to saare zamane ka shukriya
Ab mujhko aa gaye hain manane ke sab hunar
Youn mujhse rooth ke jaane ka shukriya