Uski adat thi,

Titliyon ko pakrna uski adat thi,
har ek se milna uski adat thi,
Woh jis ko tanhaiyon se dar lagta tha,
magar tanhai mein rehna uski adat thi,
Wo ek ansoo ghirne pe khafa hota,
jise tanhai mein rone ki adat thi,
Hamesha mafi mangane ki gharz se,
roz nai ghaltiyan kerna uski adat thi,
Woh to dil-o-jan nechawar kerta tha mujh per,
mager choti se bat pe rothna uski adat thi,
Hum us k sath chal diye yeh jante hoye bhi,
Rah mein chorna uski adat thi....
 
Top