Tum Chup Se Achey Lagtey Ho =)

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ae Chaand! Suno, Tum Chup Kyun Ho
Koi Baat Suno, Koi Baat Kaho

Kyun Ilfaaz Hain Tumharey Khoye Se
Kyun Aisey Saakin Se Bethey Ho

Ae Chaand! Suno, Tum Chup Kyun Ho
Koi Baat Suno, Koi Baat Kaho..

Iss Khamoshi Main Ik Sahar Sa Hai
Naa Tootney Wala Sabar Sa Hai
Tum Ho Dunya Apni Basaaye Yun
Gird-O-Pesh Se Sab Bekhabar Sa Hai

Ae Chaand Suno, Tum Chup Kyun Ho
Koi Baat Suno, Koi Baat Kaho

Sach Kahoon Tau Meri Baat Suno
Tum Chup Se Achey Lagtey Ho
Jo Baaten Na Main Keh Paaun
Wo Baaten Tum Sun Letey Ho
Tab Sab Se Achey Lagtey Ho

Ilfaaz Ki Bandish Se Aazaad
Jo Ehsaas Wahi Sa Utarta Hai
Wo Aur Bhi Bekhud Karta Hai

Ae Chaand! Suno Meri Baat Suno
Tum Sab Se Apney Lagtey Ho
Ae Chaand Suno Meri Baat Suno
Tum Chup Se Achey Lagtey Ho =)

Haya..!
 
Top