Practical Geeta Ka Saar

Bindra

Member
MODERN DAY - GITA KA SAAR

Increment nahin mila, bura hua...
Salary cut ho rahi hai, bura ho raha hai...
Retrenchment hoga, wo bhi bura hi hoga...

Tum pichla review na hoone ka paschataap na karo....
Tum agle review na hone ki chinta na karo....
Recession chal raha hai...
Tumhari pocket se kya gaya jo tum rote ho ?
Tum company ke liye kya business laye the jo tumne
khodiya?
Tumne aisa kaun sa product banaya tha jo scrap hogaya?
Tum koi experience le kar nahin aaye the...
Jo experience liya company se liya...

Jo project kiya company ko diya...
Degree le kar aaye, experience lekar chale...

Jo function aaj tumhara hai,
Kal kisi aur ka tha... parsoon kisi aur ka hoga...
Tum isse apna samajh kar magn ho rahe ho...
Bas yahi khushi tumhari tension ka karran hai...

Kyon wyarth tension lete ho, kis se wyarth darte ho
Kaun tumhein nikaal saktahai ?
Policy change company ka rule hai
Jise tum policy Change kehte ho, Wahi to trick hai...
Ek pal mein tum millionare ho jaate ho
Doosre hi pal mein tum stipend par aa jate ho...

Review, increment etc. etc. man se hata do
Vichar se mita do phir company tumhari hai, tum
company ke ho...
Na yeh Increments tumhare liye hain,
Parantu job secure hai, phir tumhein tension kyon hai

Tum apne aap ko Company ko arpit karo
Yahee sabse bada Golden Rule hai...
Jo is Golden Rule ko janta hai
Woh review, incentive, recession se sarvada muqt hai.
 
Top