Mujh ko yaad hai ab bhi wo chaht ka zamana

~¤Akash¤~

Prime VIP
Mujh ko yaad hai ab bhi wo chaht ka zamana
wo unka daudte hue meri taraf chaly ana

wo mujh ko dekh kar unke hotoin per muskuraht ka jhilmilana
wo meri bahon mai aa kar unka mujh mai sama jana

wo bat bat mein mera rooth sa jana
wo itny piyar sey unka mujh ko mnana

wo raat raat bhar jaag ker mere sar ko dabana
wo pyaar sey unka mujh ko jaanu bulana

wo unka mery ishq mai doob jana
wo unke haaton ki mehndi mai mere naam ka jhilmilana

kya unko yaad nahi chahat ka wo zamana
bahut muskil hoga unke liye mujh ko bhulana.
 
Top