Us ko juda hue bhi zamana bahut huaa
Ab kyaa kahein ye qissa purana bahut huaa
Ab kyon na zindagi pe muhabbat ko vaar dein
Is aashiqi mein jaan se jaanaa bahut huaa
Ab tak to dil ka dil se taarruf na ho sakaa
Mana ki us se milnaa-milaanaa bahut huaa;