Laali teray honton ki kajla teri ankhon ka

~¤Akash¤~

Prime VIP
Jis roz say dekha hai jalwa teri ankhon ka

us din say mera dil hai shaida teri ankhon ka


taqseem kia ham nay sarmaya-e-shab aisay

hai neend meri lekin sapna teri ankhon ka


ik baar milao to ankhon say zara ankhain

ankhon mai basa loon mai naksha teri ankhon ka


ik in kay isharay pay ki jaan fida ham nay

kuch is tarha mana hai kehna teri ankhon ka


hai yaad mujhay ab bhi us shaam ka woh manzar

khilna meray chehray ka takna teri ankhon ka


woh meri khataon pay khamoshi teray lab ki

aur mujh say woh kar jana shikwa teri ankhon ka


yae rang nhi dono "asim" kay muqadar mai

laali teray honton ki kajla teri ankhon ka
 
Top