Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai

Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai

Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai

Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to ha

Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko ,
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai

Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai
 
Top