Funkaar hai to haath pay sooraj saja ke la Bujhta hua diya na muqaabil hawa ke la Darya ka inteqaam dubo de na ghar tera Saahil se roz roz na kankar utha ke la Mohsin ab uska naam hai sab ki zabaan par Kis ne kaha tha usko ghazal mai saja ke la