K main nay piyar he karna bari mushkil say seekha hai...

~¤Akash¤~

Prime VIP
Main kaisay chor doon jeena, bari mushkil say seekha hai!
Zehar aram say peena bari mushkil say seekha hai.
Mairay sathi ki marzi thee so ye karna para mujhko
Banana saghar-e-meena bari mushkil say seekha hai
nahe ye ho nahe sakta k main nafrat bhe karon tum say,
K main nay piyar he karna bari mushkil say seekha hai...
 
Top