Jis mor par tumnay chora

Jis mor par tumnay chora , ussi mor par kharay , kartay hain intezaar,
Yeh tuuta hua dil, aaj bhi kerta hai tumsay utnaa hi pyaar,

Zindagi kay khel mein , nasseb hai humko haar,
Yeh tuuta hua dil aaj bhi kerta hai tumsay utna hi pyaar,

Chahay miiti mein miljaayen, humari yeh baat yaad rekhna tum sarkaar,
Yeh tuuta hua dil aaj bhi kerta hai tumsay utna hi pyaar,

Bhulana jub bhi tumko chaha, yaddon ki barsaat samnay aye baar baar,
Yeh tuuta hua dil , aaj bhi kerta hai tumsay utna hi pyaar,


Tera saaya bhi kaheen na mila , dhoonda meinay hazaar,
Yeh tuuta hua dil aaj bhi kerta hai tumsay utna hi pyaar

Phir bhi , ummeed hai kay eik din tum waapis aaker kerlo gay ikraar,
Aur kaho gay humsay kay aaj bhi tum humsay kertay ho utna hi pyaar
 
Top