Jee hee mai apnay rahnay day jo kuch jee mai hai, Khamosh Aa

~¤Akash¤~

Prime VIP
Jo arsh say hai farsh tak sab isi mai hai, Daikh aankh khool kar
Kia kia nahi hai is mai kay sab kuch isi mai hai, Per chahieye nazar
Dil apna pehlay zang-e-kadwrat say saaf kar, Manind-e-aina
Phir to baghor daikh kay us ainay mai hai, Kia husn-e-jalwa gar
Paida nigha kar kay tajlai husn-e-yaar, Sab jaahey aashkar
Shula say toor kay nahi kum roshni mai, Per sang ka sharar
Kion kaaba-o-kanshat sir marta hai to, Sir-e-garam justoju
To jis ko dhondta hai woh chupaa tujhi mai hai, Per to hai bekhaber
Hai dor-e-jaam-o-suhbat-e-yaarana-e-zinda dil, Kafiat-e-habaab
Kuch hai agar maza to yeh hee hai zindagi mai, Baqi hai dard-e-sir
Sada daagh suz-e-ishq na kar khe kay jee ki baat, Perda hee khoob hai
Jee hee mai apnay rahnay day jo kuch jee mai hai, Khamosh Aay Zafar
 
Top