Hamne

Hamne hawaon se kaha ja dekhkar aa...
mera yaar meri yaad mein rota hoga..
Wo boli ki wo teri tarah nahi
jo ashqon se daaman bhigota hoga...

Hamne kaha ansu na sahi...
par hothon pe to mera naam hai..
wo boli tera yaar bada masroof hai..
aur uske liye ye fizool ka kaam hai...

Hamne kaha baaton mein na sahi magar
dil mein to wo hamen yaad karta hoga..
wo boli ki har koi deewana nahi..
jo teri tarah waqt barbaad karta hoga...

Hamne kaha k tum jhuthe ho..
aisi baaton se hamen behla na paoge..
wo boli ki main ek zarurat hun ...
mere bina jee na paoge...

hum bole ki Aisi saanson ka hum kya karen
jisme pyaar ka mere sahara nahi...
Tu na bhi mile to mujhe ghum nahi...
magar yaar ke bina jeena gawara nahi....!!!
 
Top