*Ek Beti Ki Soch**

Arun Bhardwaj

-->> Rule-Breaker <<--
*Ek Beti Ki Soch**

Suno Aye Dost,

Main Maanti Hu Ki
Main Tumhari Mohabat Hu
Tumhein Mujhse Pyar Hai
Tumari Main Chahat Hu

Par Meri Zindagi Mein
Mushkilo Ki Kami Nahi
Rishte Aur Bhi Hein
Sirf Tumhara Hi Nahi

Mohabat Karne Se Pehle
Aa Kuchh Samjhayu Tume
Main Kya Hun Kaise Hu
Zara Batlaayu Tume

Apni Maa Ki Soch Ki Tareh
Aaj-Tak Pali Hoo'n Main,
Apne Papa Ki Umeedo Par
Ab Tak Dhali Hoo'n, Main

Apne Bhaayi Ki Har Baat Ko
Apne Dilse Maanti Hoo'n Main,
Mere Khan-Daan Ki Izzat Kya Hai
Ye Sab Jaanti Hoo'n Main

Behak Jaayu Behkaave Mein Aakar
Ye Kabhi Mumkin Nahi,
Dil Mere Ghar Waalo Ka Bhi Hai
Bas Ek Hum-Tum Hi Nahi,

Mohabat Wo Nahi Hai
Jo Apne Rishto Ko Bhula De,
Mohabat To Bas Wo Hai,
Jo Bade-Bajurgo'n Ki Dua Le,

Suno Dost,
Main Aisa Koyi Bhi Kadam.
Apni Marzi Se Utha Nahi Sakti.
Apne Maa-Baap Ki Bani Izzat Ko.
Ik Pyar Khaatir...
Mitti Mein Mila Nahi Sakti...!!!
 
Top