Dil mein dard

Dil mein dard aah ba_lab chashm guhar_baar liye
yuuN jiyaa jaataa hai ai dost to phir kaun jiye

Khuun hai har Gam-e-hastii kaa hamaare sir par
ham Gam-e-ishq ke maaron ne baDe paap kiye

chaaNd ke chehare pe maKhmuur Gilaafii aaNkhen
sang-e-marmar ke hasiin taaqon mein jalate hain diye

main thaa be-saro-saamaaN bahut saaf bachaa
raah mein raah_numaaon ne baDe daav kiye

jab se aaGosh-e-Gam-e-ziist mein aa baiThaa huuN
DhuuNDhate phirate hain qaasid tere paiGaam liye

rashk se dekhate hain tujh ko ka_ii zohraa_jabiin
ham nikalate hain jab haathon mein teraa haath liye

pahale tashviish sukuun-e-dil va jaaN thiin 'Akhtar'
ab pareshaaN huuN afakaar pareshaaN ke liye
 
Top