Old Lyrics Aey Duniya Tujhko Thenga Lyrics - Kisan Aur Bhagwan (1974)

Goku

Prime VIP
Staff member
Aey duniya tujhko thenga
Is sansar ki chinta kaun kare
Jo hoga dekha jayega
Jo hoga dekha jayega
Bekar ki chinta kaun kare
Kaun kare aey duniya tujhko thenga

Mahnat ki lagan hi sachi hia
Baki sab matha pachi hai
Jab tak takat hai hatho me
Jab tak takat hai hatho me
Majhdhar ki chinta kaun kare
Kaun kare aey duniya tujhko thenga

Hum vir unhi ko mante hai
Jo jaan pe khelna jante hai
Maidan me jab hum aa hi gaye
Maidan me jab hum aa hi gaye
Talwar ki chinta kaun kare
Kaun kare aey duniya tujhko thenga

Hum aaj bade hi rang me hai
Hira moti bhi sang me hai
Are pakar aise sathi pakar aise sathi
Auro ke pyar ki chinta kaun kare
Kaun kare aey duniya tujhko thenga
Aey duniya tujhko thenga

Is sansar ki chinta kaun kare
Jo hoga dekha jayega
Jo hoga dekha jayega
Bekar ki chinta kaun kare
Kaun kare aey duniya tujhko thenga
 
Top