Ae dost teri dosti per karte hai hum naaz......

Ae dost teri dosti per karte hai hum naaz......
har waqt milne ki karte hai fariyaad.....
hume nahi pata, gharwale batate hai......
hum neend mein bhi karte hai aapse baat.......

Kar jaa kuch aisa yaari may,
Ke thanks aur sorry words beimaan lage ....
Nibha aisi yaari ke yaaro ko,
Tumhe chhodna mushkil aur duniya chhodna aasana lage ...

Dosti kia hai?...
kisi nay is ko peyaar kaha....kisi nay wafa kaha aur kisi nay baywafa-e ka naam deya....Dosti ek rishta ya bhi kaha geya....mager dosti asaal main ek jazba hai qurbani dainay ka ek ehsas hai mehsoos karnay ka......

Dosti sirf kisi ko dost kahnay say nahi ho jati dost tu naam he hai sath dainay ka, bagair kisi garz baghair kisi maqsaad k..


Dosto ko bewafa keh nahi sakte.......
aur unke bina hum kabhi reh nahi sakte.....

Lafz aap do geet hum banayenge.....
Manzil aap pao rasta hum banayenge......
Khush aap raho khushiya hum dilayenge......
Aap bas dost bane raho dosti hum nibhayenge.....

Aap ke pehelu mein do pal ki zindagi hai bohot,
Ek pal ki khushi,Ek pal ki hansi hi hai bohot,
Humein duniya pehechane yaa naa pehechane,
aap k zehen mein maujudgi hi hai bohot....

Dilon ko khareedne wale hazaar mil jayenge, tumko daga dene wale bar-bar mil jayenge. Milega na tumko hum jaisa koi, milne ko to dost beshumar mil jayenge.
Nishana jo le wo SURVIR,
Nishane pe jo lag jaye wo TIR,
Dil me jo utar jaye wo TASVIR,
Mere Jaise Dost ki saath mil jaye wo ACHI TAQDIR...

Ae Dost Teri Yaad Mein Dil Ka Usool Hai
Hum Tujh Ko Bhul Jaayege Yeh Teri Bhool Hai
Meri Aankhon Se Koi Aansu Na Nikla Lekin
Ghar Ke Har Dar Se Rone Ki Sada Aati Hai
Shikwe Bhi Ziyaada Hai Aur Shikaayat Bhi Bohat Hai
Aur Iss Ke Liye Dil Mein Mohabbat Bhi Bohat Hai
Tum Mujh Se Bichad Jao Toh Yun Maayus Na Hona
Kyunki Rishto Ke Nibhaane Mein Musibat Bhi Bohat Hai​
 
Top