aa bhi jaao ki zindagi kum hai
tum nahin ho to har khushii kum hai
vaada kar ke ye kaun aaya nahin
shahar mein aaj roshni kum hai
jaane kya ho gaya hai mausam ko
dhoop zyaada hai chaandni kum hai
aaina dekh kar Khyaal aaya
aaj kal un ki dosti kum hai