unn raho pe jiss ke saath chaltai thi...

Pardeep

๑۩۩๑┼●ℛŐŶ
unn raho pe jiss ke saath chaltai thi,
aaj unn raho pe apni tanhaaiyon ke saath chlti hun,
kon kehta hai mein akeli hun.
mera dost mere paas nahi hai toh kya hua,
unki yaadon ke saaath rehti hun,
kon kehta hai mein akeli hun.
aaj bhi usko dhundney har raat ko niklti hun,
uska aaj bhi wahi par intzaar karti hun,
pta hai woh ni aayega,
magar uskey intzaar main waqt se baat karti hun,
kon kehta hai mein akeli hun.
sunsaan galio main jaakar roti hun,
woh mere aasun puchta tha yehi baat sochthi hun,
mere khayalo, mere dil, mere har ek pal main hai woh,
kon kehta hai mein akeli hun.
 
Top