Pass rehkar bhi itne kareeb na the tum,

~¤Akash¤~

Prime VIP
Pass rehkar bhi itne kareeb na the tum,
Jitna ki ab door jaker aa gaye....
Sath rehte hue ye ehsaas nahi hua,
Ki tum kab is dil me sama gaye.....

Main bhi kabhi is duniya ka hissa thi,
Per ye tum kahan mujhe le aaye....
Ab to har lamha ek khayaal ban gaya hai,
Aur hain tumhare khwabon ke saye....

Mohabbat nahi rehmat hi sahi,
Tum kabhi to hamare kareeb aye..
Us ek chhuwan ne tumhari us din,
Dil ke sab patthar pighlaaye..

Tumhe khokar hi tumko paaya,
Ab kya woh kissa sunayein..
Kismat aur mohabbat ka khel hai ye..
Kaun samjhe aur kaun samjhaye...

Rokar in aankhon ne ye jana,
Ki ab tak kitne ashq gawaye..
Aansu jo sukoon dil ko de gaye,
Woh hanste pal na de paye
 
Top