kisi ko..... chhod ke jaanaa .......bhi to nahin aayaa......

~¤Akash¤~

Prime VIP
nahin... ki .....apnaa zamaanaa.... bhi to nahin aayaa;
humein.... kisi se nibhaanaa...... bhi to nahin aayaa.

jalaa ke rakh liyaa..... haathon ke saath ....daaman tak;
tumhein..... charaag bujhaanaa..... bhi to nahin aayaa.

naye makaan ....banaaye to..... faaslon ki tarah;
humein ....ye shahar basaanaa...... bhi to nahin aayaa.

wo poochhtaa thaa..... meri aankh..... bheegne kaa sabab;
mujhe..... bahaanaa banaanaa...... bhi to nahin aayaa.

WASEEM.. dekhnaa mud mud ke..... wo..... usi ki taraf;
kisi ko..... chhod ke jaanaa .......bhi to nahin aayaa..........


WASEEM BARELWI
 
Top