kahin..... jalaa nahin ki... aur ... kahin... bujhaa nahin k

~¤Akash¤~

Prime VIP
kisi se.... dil ki hikaayat..... kabhi... kahaa nahin ki;
vagarnaa .....zindgi..... humne bhi... kyaa se kyaa nahin ki.

har ek se.... kaun.... mohabbat nibaah saktaa hai;
so ...humne.... dosti-yaari to ki ......wafaa nahin ki.

shikastagi.... mein bhi..... pindaar-e-dil.... salaamat hai;
ki .......uske dar pe to pahunche.... magar.... sadaa nahin ki.

shikaayat ....uski nahin hai.... ki.... usne zulm kiyaa;
gilaa.... to ye hai.... ki.... zaalim ne.... intehaa nahin ki.

wo.... naadehand agar thaa..... to fir..... takaazaa kyaa;
ki ....dil to le gayaa ....keemat..... magar.... adaa nahin ki.

ajeeb aag hai..... chaahat ki aag bhi.... ki ..FARAAZ;
kahin..... jalaa nahin ki... aur ... kahin... bujhaa nahin ki.......

AHMAD FARAAZ
hikaayat=kahaani;
pindaar=pride;
naadehand=na lautaane waalaa
 
Top