kahaa thaa kis ne

kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
jo yuuN kiyaa hai to phir kyuuN gilaa karo us se

ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii
zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se

ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se

nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho
jo dil mein hon vahii baaten kiyaa karo us se

'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se
 
Top