Kab kisko kya mila....ye to woh hi behtar jaanta hai!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
Laakh koshish ki,bahut jatan kiya
magar woh na ho saka kisi bhi tarah mera
Khud par yakeen tha,uspe bhi eitbaar tha
magar halaat ne na saath diya mera

kya kya socha tha,kya kya sapne dekhe the
mitti me mil gaya sabkuch mera

Suna tha kismatein insaan apni khud likhta hai
magar is hunar se bhi maat kha gaya haath mera

Koi maane ya na maane sach to ye hai
Kismatein to uparwala banata hai
Kab kisko kya mila....ye to woh hi behtar jaanta hai!!
 
Top