jis phool ko dekhoon wahi paimaana hua hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
Badnaam mere pyaar ka afsana hua hai
deewane bhi kehte hain ki deewana hua hai

Rishta tha tabhi to kisi bedard ne toda
apna tha tabhi to koi begaana hua hai

Baadal ki tarah aa ke baras jaaiye ik din
dil aap ke hote hue viraana hua hai

Bajte hain Khayaalon mein teri yaad ke ghungroo
kuch din se mera ghar bhi pari-Khaana hua hai

Mausam ne banaya hai nigaahon ko sharaabi
jis phool ko dekhoon wahi paimaana hua hai
 
Top