jaha haqikat hai kam aur khawabo se roshan sab jahaan hai

~¤Akash¤~

Prime VIP
tujhse bichar ke mera vajood bhi kahan hai
is dil ki diwaaro mein aahe hai aur siskiyaan hai

main rahu kahi bhi is duniya mein kahi
bas tu hi tu mere saanso ke darmiyaan hai

hai khabar kahan ab apni tanhaiyon ki
bas teri hi yaado ka kafilaa ab yahan hai

bichi hui hai sab taraf ek khamoshi ki chaadar
fir bhi teri saadao ka mehekta baagbaan yahan hai

dikaho na sapne hame us duniya ke ab tum sanam
jaha haqikat hai kam aur khawabo se roshan sab jahaan hai
 
Top