In honton ko ab kisi hansi ka, intezaar nahi hota…

~¤Akash¤~

Prime VIP
Ab to kisi bhi baat pe, etbaar nahi hota
Hote hain bas samjhaute dilon ke, koi pyaar nahi hota…

Kitna bhi samjha len hum, is dil-e-naadaan ko
Ek qatra kabhi, koi saagar nahi hota…

Dil mein liye hasarat kisi ki ye umra guzar jaati hai
Ki taqdir pe kisi ki apni, ikhtiyaar nahi hota…

Lagte hain jo pal suhane, wo hain mere bas khaabon ke
Haqiqat mein kabhi khushi ka, deedar nahi hota…

Dhal jaate hain ye ashk, ek aur ghum ki raah liye
In honton ko ab kisi hansi ka, intezaar nahi hota…
 
Top