honThon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye

honThon pe kabhii un ke meraa naam hii aaye
aaye to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aaye

hairaan hain lab_bastaa hain, dil_giir hain Gunche
Khushbuu kii zubaanii teraa paiGaam hii aaye

lamhaat-e-masarrat hain tasavvur se gurezaaN
yaad aae hain jab bhii Gam-o-aalaam hii aaye

taaron se sajaa lenge raah-e-shahar-e-tamannaa
maqaduur nahiin subho chalo shaam hii aaye

yaadon ke vafaaon ke aqiidon ke Gamon ke
kaam aaye jo duniyaa mein to is naam hii aaye

kyaa raah badalane kaa gilaa ham_safaron se
jis raah se chale tere dar-o-baam hii aaye

thak haar ke baiThe hai.n sar-e-kuu-e-tamannaa
kaam aaye to phir jazbaa-e-naakaam hii aaye

baaqii na rahe saaKh "Adaa" dasht-e-junuuN kii
dil mein agar andeshaa-e-anjaam hii aaye
 
Top