Full Lyrics Ho Sakta Hai - Angry Prash - Varsha Tripathi - Full Lyrics

Goku

Prime VIP
Staff member
Ho sakta hai kar barha
Ho sakta hai larh zara
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai

Ho sakta hai kar barha
Ho sakta hai larh zara
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai

Aaj main bata doo'n tumko
Gehra sa ek raaz
Jismein ghar mein hoti takleef
Karte mehnat din raat
Sath chhorha tera yaaron ne
Bandi ne chhorha hath
Yeh koi barhi problem nahi hai
Yeh sirf chhoti si hai baat

Sunn sunn meri baat
Na hum Hindu Musalmaan
Dharm jaat ke iss naam pe
Kyun lete sabki jaan
Hum bhi toh hain ek insan
Phir kyun bante hain shaitaan
Agar ban'na hai mahaan
Toh band kar do apne kaan
Aur laga do thorha dhyan apne kaam pe

Agar jeena hai toh jiyo
Thorha shaan se
Chalo chhorho iss baat ko
Badalte hain halaat ko
Isse bhi barhi problem hai
Aao milke usko jaan lo

Haan larhenge hum mill ke iss tufaan se
Har burayi ko mita denge aaram se
Tu chhorh chhoti takleefei'n
Tere sapne aasmaan mein
Yeh desh hai tere kandhe pe
Kar sakta hai tu jaan le

Ho sakta hai
Teri soch ko badha
Ho sakta hai
Chhoti baaton pe arhaa
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai
Ho sakta hai kar barha
Ho sakta hai larh zara
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai

Desh ko bacha liya
Duniya ka kya karega
Tu darta unn darindo'n se
Ab kab takk tu darega
Iss iss terrorist ka naam
Jab tu duniya se mitayega
Duniya ke har kone mein
Khushiyon ka baadal chhayega

Chal uthkar ab tu saans le
Par saans le kis munh se
Dhuan hai poori duniya
Jaise baadal hai zameen pe
Zameen se thorha upar dekh
Upar mein bhi ek jhol hai
Hamare karmo'n se aaya
Ozone mein bhi ek hole hai

Chal ozone ko bhi chhorh de
Ucha bhi thorha soch le
Yeh system jo solar ki
Usmein bhi kitne morh hain
Ek chhota comet aayega
Poori duniya ko udayega
Tab kitni teri soch
Aur kaise tu bachayega
Bol kaise tu bachayega
Ek chhota comet aayega
Bol kaise tu bachayega
Haan kaise tu bachayega

Tu thoda upar jaayega
Toh galaxy mein aayega
Iss galaxy mein jhaankega
Toh khud ko kahan payega

Yeh black hole hai bhai
Tu dhansta chala jayega
Iss moch jaisi soch mein
Tu phansta chala jayega
Phir kitni saari galaxy se
Banta yeh brhamaand hai
Ho sakta hai brahamaand
Kissi planet ki ek boond hai

Jab boond hi brahamaand
Teri soch kitni chhoti hai
Teri soch ko badha le
Yeh kar sakta hai tu jaan le

Ho sakta hai
Teri soch ko badha
Ho sakta hai
Chhoti baaton pe arhaa
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai
Ho sakta hai kar barha
Ho sakta hai larh zara
Ho sakta hai na rukna tu
Ho sakta hai
Ho sakta hai
Ho sakta hai
Ho sakta hai
Ho sakta hai
 
Top