hamaari maut .....koi ....mar rahaa hai.......

~¤Akash¤~

Prime VIP
dareechaa...... raah koi..... dekhtaa hai;
diyaa..... dahleez par.... bujhtaa huaa hai.

na manzil hai....... na koi......... naqsh-e-paa hai;
yahaan to... faaslaa hi faaslaa hai.

hamaare saath..... kyaa kyaa ho gayaa hai;
milaa tumse..... to..... andaazaa huaa hai.

zamaane bhar ko...... ruswaa karne waalaa;
meri khaatir...... bahut.... ruswaa huaa hai.

banaaoongaa main us se........ kyaa bahaanaa;
wo....... mere sab bahaane..... jaantaa hai.

zaraa si baat thi....... teraa bichhudnaa ;
zaraa si baat se....... kyaa kuchh huaa hai.

kisi ki zindgi...... hum.... jee rahe hain;
hamaari maut .....koi ....mar rahaa hai.......

SHEEN KAAF NIZAAM
 
Top