deyaar-e-ishq main apna rasool ker janaa

~¤Akash¤~

Prime VIP
Yeh ahl-e-dar teri Mumlikat mai rehtay hain

malool kar humain itna malool kar janaa
kay hum na yaad karain tujh ko bhool kar janaa

hain misl-e-nama bey naam,dast-e-qasid main
so hum say dar badroon ko wasool kar janaa

phir agaye teray kochay mai khush nigha teray
gham-e-jahaan ki salifoon pay jhool kar janaa

kabhi to dast-e-hinai say surkhi-e-lab say
humaray zakhum-e-tammna phool ker janaa

yeh ahl-e-dar teri mumlikat mai rehtay hain
so woh tark-e-talluk ka faisla hi sahi
so ikhtiar koi to Asool ker janaa

faraz tujh ko to khudawand manta hai, usay
deyaar-e-ishq main apna rasool ker janaa
 
Top