Bewajah

Ginny

VIP
Bewajah
Hum sab ki life me kuch kuch baate hum bewajah hi karte hai....
Nai pata kya milta hai lekin hum zarur karte hai bhaut kaam bewajah....
Bewajah hum raat bhar rote hai ... pata nai q... ya shayd kabhi kabhi dil krta hai ... ya kabhi kabhi hume b nai pta hota bas bewajah
Bewajah hum ghanto chand ko dekh lete hai ... ya shayd usse b kuch sawal krte hai...
Bewajah hum koi ek gaane ko baar baar sunte hai .... ya shayd uske piche b kuch karan hota h....
Bewajah hum kisi par gussa krte hai... ya shayd hum unpar apna haq samjte hai...
Bewajah hum aankhe band kar k baith jate hai.... ya dil me kisi ka chehra dekhte hai...
Bewajah hum haste hai... ya shayd koi purani baate yaad kr k chehra mein halki muskurahat aati hai..
Bewajah hum kisi ko koi gaane sunne k liye bolte hai... ya hum apne dil ki baat btna chahte use...
Bewajah hum kitna kuch likhte hai ya shayd wo hum sach me sochte hai..
Bewajah hum haste haste rote ... ya rote rote haste hai... ya ye soch k haste hai ki wo pal kya tha ... aur isly rote hai ki wo q tha...
Bewajah hum kuch nai krte .... bhagwan ne bewajah hume nai banya ....
Hum bewajah kitna kuch karte hai... kya sach me wo bewajah hota hai ya uske piche bahut wajah hote hai bas hum use bewajah ka naam dete hai
 
Top