Bas padhne waalon ki khaatir likhta raha hoon main

~¤Akash¤~

Prime VIP
Rishton ke naam per jab jab lut-ta raha hoon main
Apni nazar me gir gir ker utth-ta raha hoon main

Jab wo mujhe bataa gaya main uska kuch nahi
Jaane kyun usko der tak tak-ta raha hoon main

Barso se mujhko apna sa lagta raha hai wo
Jaane kyun usko ajnabi lagta raha hoon main

Wo hi mera imaan hai ya hai mera khuda
Ye soch ker uske saamne jhukta raha hoon main

Wo baar baar mujhko yun likhta reh gaya
Jaise ke baar baar hi mit-ta raha hoon main

Main us shakhs se milker bhi na mil sakaa
Jis shakhs ke saath mein aksar dikhta raha hoon main

Wo shakhs aaj mujhko anmol keh gaya
Jis shakhs ke naam per ab tak bikta raha hoon main

Shauq-e-shaayri se ” dil kab ka bhar gaya
Bas padhne waalon ki khaatir likhta raha hoon main
 
Top