Bahir tha kafan say haat ye nishani likhna

~¤Akash¤~

Prime VIP
marne ke baad meri yeh kahani likhna
kaise hui barbad meri yeh jawani likhna

Ye likhna usay intizar bohot tha kisi ka
Aakhri saans ki kesay hui rawani likhna

Jo qasmain khain thi piyar main us nay
Un qasmon ka kya hua us per mehrbani likhna

Ye bhi likhna k us k hont khushi ko taras gaye hain
Kitna barsa un ankhon say pani likhna

Aur ye bhi likhna dua deta tha tujhay
Bahir tha kafan say haat ye nishani likhna
 
Top