aman ki aasha-ek bacchi hui umeed...(1)

satvir62

Member
Kucch dadkhane khafa hain meri mujhse kyon ab tak………….

Kucch dadkhane khafa hain meri mujhse kyon ab tak,
Kyon ranjishon ke zakhm kured deta hai har bar, yhe junooni zahan mera
Jo kabhi waqt ki mahram ne dafan kar diye the, is pak zameen ki neeche
,kuch idhar bhi aur kucch udhar bhi
Aaj bhi baalimaran ki un tang galliyon ka ziker taza hai ,udhar bhi
baat us befiker tafri ki, anarkali bazaar ki mehfil mein, hoti hai idhar bhi

is dhashat ki thandi khusk hawaien mojood hain kabhi mari mein to ,
gulmarg mein kabhi
Dafan karna hai is hawaniyat ko, jo ek, siyasi kafan mein lipti hai ,
Ye teh kar liya ab se ,is nasl ne, idhar bhi aur udhar bhi,

Lavs bayaan nahi kar sakte is roohani riste ko,
Jo kabhi baha tha surkh lahoo ban kar , humare mustakbil ke liye,
uus tareek ke gavah shreek hain, aaj bhi ,is taraf bhi aur us taraf bhi

kisi chaar dwari ek kone mein gungana raha hai koi taranum yahan ki,
aur nazm udhar ke bayan hoti hai, har waqt hoton par idhar bhi

bacchpan ki us khala ki seviyan yaad aatein hain, har id par, idhar bhi
ek chacha ke halwe ko yad karte hain, har bar, kucch udhar bhi

fasl poonch rahi hai har baar is nadi ke un do kinaron se,kya farak hai uski mithas mein ,
,is taraf ka us taraf se
kyon bachpaan ki koi dhundhli yaad kar deti hai ek buzurg walid ki aankhaen nam
us taraf bhi aur is taraf bhi

lahoo ban kar bahe hain ,kayi baar, Ashk kucch udhar bhi aur kucch idhar bhi,
yaad rakh har zakm para hai is rooh ke jism par har bar, woh tha ek hi

lavson mein bayaan karte the, ye jazbaat is wajood ke mukamil hone ka,


tere garm askon ki nami ko muhsoos kiya apne gal pe,is bar,

to kyon kuch ehsas hua apne adhurepan ka."
 
Top