aakir kyn?

tanha tanha din kyn lgte
kyn lgti har raat prai
kyn jeete hum jootha jeevan
yhi baat bas smajh naa aayi



komal kamal se paaon hai mere
jeevan path par khar beekhere
kyn betha wo haatimtai
yhi baat bas smajh na aayi




koi na tera tu na kisi ka
jeevan hai ye fool do din ka
jaan smajh ke fir bhi tune
kyn maya mein jaan fasayi
yehi baat bas smajh na aayi



lahu-luhan hua man mera
chaya andhkar ghnera
kyn na deti fir bhi kisi ko
is ki teevr cheekh sunai
yhi baat bs smajh na aayi



anjane raahon pe chlana
acha lgta hai kyn mujhko
duniya ke dastoor nibhana
kyn dass jata hai ye mujhko



sab ko smjh ke tune apna
kyon man mere chot hai khayi
yhi baat bas smajh na aayi
yhi baat bas smajh na aayi
 
Top