main dua kar raha hoon ke manzil na aaye

~¤Akash¤~

Prime VIP
ye kiski nigahon ne sagar pilaye
khudi par meri bekhudi banke chaye
khabardar aye dil maqame adab hai
kahin badanoshi pe dhabba na aye
wo sajde hain kya jisme mein khuddariyaan ho
ibadat wo kya jisme pabandiyan ho
haqiqat mein zahid wohi bandagi hai
jahan sar jhuke aastan jhoom jaye
kai baar toofan se takrai kashti
kai baar takra ke sahil pe aaye
talashe talab mein wo lazzat mili hai
main dua kar raha hoon ke manzil na aaye
 
Top