mager afsos ye sitam-e-kismat wo waqt mera na tha...!!!

~¤Akash¤~

Prime VIP
mujhay wo mila to sahi mager wo mera na tha
main ne use chaha bahut mager woh mera na tha..

jis ki chah main tamaam umer intzaar kia wo mera na tha
jis ki khatir apni khuddari ko dao per lagaya wo mera na tha...
..
us main aisa kia tha jo kisi aur main nahi
haan wo sab se alag hai magar wo mera na tha..
..
us ke dekhne ka wo andaaz jo main kabhi na bhula saka..
wo thi haqeeqat ya ik dhoka mager wo mera na tha..
...
aaj bhi ye nadan dil manne ko tayar nahi
wo mera sanam mera na tha..
..
shayad main us ke dil ki baat jaan paata
mager afsos ye sitam-e-kismat wo waqt mera na tha...!!!
 
Top