Jwaab denge un chand unkahe swaalon ka.... . .....

satvir62

Member
Jwaab denge un chand unkahe swaalon ka.... ......
Nahi manszoor hai yeh sadiyon purani behosh zindgadi ,
us sust safed chadar mein lipti ek kushk bebas neend ki
rooh ke darwaze per ek dastak deni hai is baar,har sisiski saans se Jodi hai jo ,
ye tai kar liya hai in dadknon ke ehsaas ne , baki bacchii hui zindagi ke liye meri
nahi karna hai woh fark uus surrkh laali mein doobe ek maazi ki undeki sachai ka ,kisi ristey ya majzhab ke khokle wajood per,
sulugte sholay rakne hain apni rooh ki hatheli per,is underooni dard ko mehsoos karne ke liye,
is jism ko roohani libaas pehnana hai phir se ek bar, jo anand math se shuru hui ,us kranti ka


dek is deshat mein is entaha lahoo ki nadi ko behata har bar ,ashk bahana bhi hai zaroori tera
lekin goond kar unko is dard ki miti mein ,karna hain nirmaan ek nahi fauladi nasl ka,
dekh is toofan ke kucch dundle padchino ko , kudrat ke asloon se sabak lena hai nishcit ,tera
ek bacchi oss ki boond ,jo kar rahi hai intezar us aparichit patte par,bhor ki pehli kiranon se alingan karne ka,
jan lena hai , jindagi ki ibtada karne ke liye kyon hain itni vyakul,is baar
har ristey ki woh buniyaad rakh lenee hain ,jo kisi garz per qayam nahi hogi kabhi
jo sirf zinda rehegee ek dusre ki dadhkanon ke ek nahe ehsaas ki mojoodgi se
nahi parwah is dahshat mein panpti haiwaniat ki, nukshan hua kiska ,yyeh fark parta nahi ab se mujhko
sirf mehsoos karna hai har saans ko ,mere
is zindgagi ka ek unkaha buniyadi rista ,sirf ek surk rang ki garmaish ki bina per mohjood hai jo
ek yodha ban toot parna hai is unchaiye mahabarat mein,
chhalni kar shina apna aise kai taaza zakhmon se,
,dena hai us unpooche kadwe swaal ka jwab ab , is chakravayuk ko nirantar ched kar
Jo kabhi diya that us kranti ke lau ne, kabhi dandi toh kakori mein kabhi kucch arsaa pehle,
phir se us gehri raat ke baad ki ek naye surya ka karna hai istekbal dekar apni befikri aur bebasi ka maila kafan
fark parta nahi koi mohjood hai ki nahi is lamhe pe, rooh se waabsta hain ye tarik ki panne
dhadkanen baki zindagi ki kitni hain is jism ke aagosh mein, fark parta nahi ab
, in dhadkanon mein karni hai mohjoodi in jazbe ki , mujhe har bar, abse, yeh ehsaas zaroori hai bas
yun nahi karni apni zingadi gumnaami mein basr phirse,
kisi chaar dwari ki mwhtva kanksha mein quaid hoker , mujhe
is jazbe ko pehnana hai woh roohani libaas, phir se basanti rang ka
, cher ek nahi jung-e- azaadi ka agaaz
Is zahani zanjeer ko tor phir ,rakhni hai nieve humne, us nahi fasl ki
kiya hai ek faisla is bar humsabne ,ek doosre ke mustakbil ke liye,
 
Top