jisko likhna tha zaalim sitamgar,

~¤Akash¤~

Prime VIP
jisko likhna tha zaalim sitamgar,
usko jaane wafaa likh diya hai,
kitna ukta gaya hai wo khud se ,
zeher ko bhi dawaa likh diya hai,
aeisi kya us pe gujari hai dekho,
zindagi ko sajaa likh diya hai,
gair ka khat lifaafe me rakhkar,
uspe mera pata likh diya hai,
naam kaagaz pe likh ke mera,
har jagah bewaafa likh diya hai,
sahar ki aaj deewar par,
ek paagal ne kya likh diya hai!!!!!
 
Top