zaalim ne jisko hardum naaz hua karta tha apna kahne par

~¤Akash¤~

Prime VIP
na jaane kitne hi khwaab aaye na jaane kitne khayaal aaye tumhaari surat ko chod kar kya kisiki surat majaal aaye * patthar khaaye aur kisine zakhm the mere chere par anjaane me maara patthar humne apne aaiine par ke laakh bachaane ki koshish ki phir bhi na bach paaye hum meri hi tasveer dikhaaii deti thi har tukDe par ye to apna hi tha kalejaa aur kisika kya hota thokar khaake haste rahe aur dhokha khaaya dhoke par pahra bhi tha khamoshi ka ik honto par tufaan bhi the kya mere jeene ki gawaahi saanso ne di marne par ? khamoshi ka meri kabhi zidd raaz na pooocha zaalim ne jisko hardum naaz hua karta tha apna kahne par
 
Top