Zindage ke Aansoo A Heart Touching Story

Aankho se bahe jai woh Moti kehlate hain,
Khushi ke hote hai to gam ke woh moti.

Zindagi me humare chahne na chahne se kya hota hai,
hota wahi hai jo kismat me likha hota hai.
ye baat alag hai ke hum apne haath se
apni mehanat se usse jine ki wajah,
ya sahara banasakte hai .

Heena ,maa baap ki ankho ka tara hai
jo aaj kisi ke ghar ki zinat baane jarahi thi.
Apne dil ke tokde ko khushi kisi bida karan
Kitna mushkil hota hai haar maa,baap ,bhai bahen ke liye
Apne sath najane kitni sari yaade chud jati hai
To kitni sarai yaade dejati hai.
&nkisi ke chale jane se
Yaad aati hai
Heena ki ankhe naam thi apno se bichdne ka gam tha
un me na chahte huwe bhi aanss bahe jarahe the.
Zindagi ki sab se badi khushi mili iss baat ko jante huwe bhi
Ankhe naam thi.woh the aansu.jo bahe ja rahe the.

Nai naweli dulhan,gaheri khubsurta ankhe,gulab ki pankdiyu ki tarha hoti,kayam dhati muskan.Jo dekhe to bass dekha hi rahejaye.
Gazab ka hussn paya tha Heena ne.
Mudikahi me log tarfi karte nahi thak rahe the
Har kisi ke alfaz yahi the ke Asif ,”bahot khush kissmat hai
Jo chanda jaisi biwi mili.”

Kya wakai me Asif lucky hai?
Heena kya sach me itni Khubsurat hai ke kismat ko uss par gurror ho
ke Khuda ne uss ko iss kadar khubsurat banaya?
Jitni Khubsurat woh hai kya utni hi khubsurat uss ki kiss mat hai?
Kissmat ke naam ko to sab jaante hai lekin,

Kissmat me kya likha hai Allah Jaanta hai.

Ghughat ko jaise hi Asif ne uthaya
Uss ke muh se ye hi nikl pada Mashallah ,
Allah aap ko nazre bad se humesha bachaye rakhe ,
Duniya ki sari khushiya aap ko mile[ameen]
baato hi baato me raat kab guzar gai pata hi nahi chala.
Heena ko gulab behad passand the iss liye Asif chate the
ke woh valime[reception] ka sara hall gulab ke pholo se sajaye .

Heena ,”aaj hum aap ke liye kuch karna chate hai ,
I have one surprise for you jaan.
Aap jaab dekhoge to bass dekhte hi reh jaoge
dekhiyega. aap zindagi me kabhi nahi bhul paoge ”
Heena: par kya bataiye to zara…
Asif : abhi nahi.intezar kariye ga aap humara .
ye keh kar Asif chale gaye. Aur jaab woh se lote to
Heen sach me Heen bilkul surprise ho gai
Iss kadar ke uss se kuch kehte hi nahi baan raha tha
nahi kuch karte. bass tak taki lagaye thi Heena.

se jaana chate hai ,
kya aap kisi ladki ka husband ke marjane se
us ki zindagi ruk jati hai,?
kya samaj me uss ko jine ka haakh nahi hai?
Aur kya hum pade likje hone ke nate
Kya iss samaj ko badalne ki takat nahi rakhte.
Dosto koi galt kaam kare uss se pahele uss ko rukdo.
Pyar se pyar baate chaliye dekhiye
zindagi me behad khushiya milegi.
Dil ko jo sukun milega woh unmol hota hai.
Aisa koi kaam karo jo insaniyat kahelaye
aur Allah Tallah bhi aap se razi ho jaye.
Zindagi me socha bhi nahi hoga ke kabhi aisa bhi waqt aayega ,
Bhai apni bahen ko pagh phere ke liye lene aarahe the
bahot khush ke aaj bahen kitni khush hogi
uss ki muskan par to duniya kurban kardo..
Lekin ye kya HeenA aise kyu baithi hai ,Allah!
ye sab kaise aur kab huwa .
ye kaise ya mere Parwar digar meri bahen.
Apni bahen ko sine se laga liya.
HeenA muh se to kuch nahi bol pa rahi thi
Lekin aankho se uss ke bahe ja rahe the Aansu bass Anssu.
Kya khushiyo aati hai to sath pane gaam bhi le aati hai kya?
khushi theek se mahesus bhi nahi ki theek se
to gam ki andheri raat chagai.
Saaz aur singar utardiya gaya.
Chudiya jo pyar se pahenai thi kal aaj unhe tod diya ja raha tha,
Gahene jo uss ki khubsurti badha rahe the nikal diye jarahe the.
Kal hi ek nai zindagi ki shurwat ki thi ,
To aaj se nai zindagi ki shurawat karni hogi
kal tak sirf khushisy hi khshiya dikhai de rahi thi
To aaj se sirf andhera hi andhera…

Khubsurti ki tarif karte nahi thak rahi thi jin logo ki zaabn.
Aaj uss ko bhala bura keh rahi hai.
Kya iss me Heena ka koi kasur hai?
kya uss ko iss tarah ke tane sunte huwe jina hoga?
Yaa gaam badjane par taklif bardash nahone ki surat me
Apne aap ko taklif pahochale ?
jaan de de woh apne?
Husband ,shohar ,pati ,ya life patner sath na hoto
Us ladki ki zindagi behad muskil se guzarti hai .
Ache log jitne nahi hai jitne ke buri niyyat wale
Apni nazre jamaye hi baithe hai .
Acha to nahi karege lekin ungliya 100 ki uthegi.
uss ko iss kadar majbur kardete hai
ke woh zindagi se haar jaye apni jaan dede.
Dosto story yaha khatam nahi hoti iss story ko
aap jaise hum jaise log hi aage bada sakte hai
Uss ko jine ka maksad de sakte hai
Hum aap sab se yahi kehna chate hai..
Allah Tallah ne khubsurat zindagi hume ata ki hai.
Iss me kisi ke gaam ko kaise kaam kare.
Ye soche kisis ko kaise khushi de .
Dusro ko khushi dene me behad sukun milta hai.
Aur Allah bhi Khush hota .
Aap logo ko ye story kaisi lagi hume bataiyega
hume aap ke repaly ka intezar rahe ga
Henna ke life me kya huwa
hum aap logo ko jald hi batayege.[Inshallah ]

Aap sabhi ki nai Dost
Inshira
 
Top