"Ye Mohabbat hai"

aditi_adi

Member
tere baGair ye ab zindagii kahan guzaray
qadam qadam pe tere saath kaa gumaan guzaray
ye din jo dhiire se phisalaa to shaam ke manzar
tere baGair udaasii ke daramiyaan guzaray

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Azal se hai mohabbat maavra lafzon ki maala se
Magar ye bhi haqeeqat hai
Mohabbat soch k aakaash par baadal ki soorat mein
Sada parvaaz karti hai
Kabhi baarish ki boondon mein simatt kar dil ki dharti par
Utarti hai bikharti hai
Ada le kar saba se ye, gulaabon se mehek le kar
Dhanak se rang le kar aur sitaaron se chamak le kar
Hasee(n) aanchal sajaati hai
Isi aanchal se phir khwaabon k kache ghar banaati hai
Mohabbat aazmaati hai
Kabhi ye she'r ban kar lafz ki hurmat barrhaati hai
Kabhi ye saaz ban kar dheere dheere gungunaati hai
Saraapa aankh ban jaati hai ye mehboob ko pa kar
Anokha lams ban jaati hai koo-e-yaar mein ja kar
Na jaane kaunsa mantar ye parrh kar haule haule se
Kisi ki band palkon mein bina dastak diye yak-dam
Utar kar ghar banaati hai
Mohabbat muskaraati hai
Ye khushbu hai, hamesha phool ki saanson mein hoti hai
Bana de chaand teerah shab ko jo, ye aaisa moti hai
Kasak hai daa'imi is mein, bohat be-naam lazzat hai
Mohabbat ki yehi ta'reef hai k
"Ye mohabbat hai".

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
 
Top